Aap
aksar isi confusion me rehte hoge ki kisne apko whatsapp par block kiya hua hai
aur kisne nhi.Kyonki whatsapp ka aisa koi feature nhi hai jo hume iske baare me
bata sake.Ye khastaur par girlfriend/boyfriends jyada janne ke ichhuk hote ha
ki kya unke gf/bf ne unhe block maar diya hai.Lekin aaj ke baad aap khud
pehchan jaoge ki kisne aapko blocked kiya hai .Main aaj iske baare detail se
baat karunga aur apko 5 method bataunga akhir koi kaise block maarta hai aur
kaise pata lagaye ki akhir kisi ne aapko block maar diya hai ya nhi.
To chaliye aage badhte hai aur jante hai hum whatsapp ki ye anokhi trick.To sabse pehle hum jaan lete hai kaise whatsapp par kisi ko block karte hai.
Must Read: 1.BASIC OF NETWORKING & LEARN CCNA 2.How to find save password in any computer 3.10 best android app for hacking 4.What is Linux Operating System 5.How to crack pdf files password 6.What is IP address & How its works
Whatspp Par Kaise Block Maara Jata Hai?
Bilkul hi asan hai dosto kisi ko bhi block karna ,iske liye
neeche diye gaye steps ko follow kariye.
Step:2) simply kya kariye ab whatspp setting me jaana aur iske baad account setting me jana fir iske baad privacy setting me jana ,
Step:3) iske baad aap dekhenge ki neeche likha hoga block contacts is par click karna jakar,
Step:4) fir iske baad upar side dekna add ka sign hoga us par click karke us contact ko select kar dena jisko aap block karna chahte hai bas isse bo friend aapka block ho jayega puri tarah se aur fir wo aapki koi bhi detail nhi dekh payega.
Step:5) Aur ab agar aapko usko unblock karna hai to simply fir se usi location me jayiye matlab setting>>account>>privacy>>block contactsaur yanha par aap dekhenge ki wo blocked contact dala hoga jisko aapne block kiya tha us par thodi der tak touch are rehana to ek option aayega unblock ka us par click karke use unblock kar dena.
Ess Post ko Jarur Padhe:- 1.Android Phone se Computer ke sabhi features ko kaise control kare
Ab Kaise Pata Lagaye Kisne Aapko Block
Kar Diya Hai?
Yanha par main aapko 5 tarike bataunga jisse aapko yakeen ho
jayega ki apko us specific person se block kar diya hai.
1.) Last Seen Dekhiye (Sucess Rate 45%)
Ye sabse simple tarika hai ye jaanne ke liye kisi ne aapko
block maara hai yaa nhi ,lekin aapko bata du ye 100% nhi hai lekin fir bhi aap
ek andaja laga sakte hai.Aap kya kijiye ki sabse pehle apna whatsapp account
open karna iske baad kya kariye jis par aapko sak hai ki usne aapko block kar
diya hai simply uski chat par jana aur wanha par dekhna ki kya aapko uska last
seen dikh raha hai ya nhi ,agar nhi dikh raha ho to samjhna ya to usne apna
last seen hide karke rakha hai ya fir usne aapko block kar diya hai .Iske 2
option hote hai aapke pass ki usne privacy laga ke rakhi hai ya fir block hi
maara hai isi wajah se ye method 50% hi work karta hai ,lekin aap aage ke bhi
method dekhiye .
2.) Uski Profile Pictutre (Dp) Dekhiye (Sucess Rate 50%)
Ye
bhi ek tarika hai jisse aapko thoda bahut idea mil jayega ki aapko usne block
hi mara hai ya fir sirf privacy hi lagaye huye hai.Aap kya kariye apna
whatspp account me usi ki chat par jana aur uski profile pic dekhne ki kosis
karna ,agar aap uski profile pic dekh pa rahe hai to samjh lena ki pakka
usne aapko block nhi kiya hua hua hai,aur agar aap uski profile pic nhi
dekh par rahe hai to fir aapke paas 2 option honge ki ye to usne aapko block
maar diya hai yaa fir privacy lagakar apni profile pic ko hide kar diya
hai.Isiliye ye bhi tarika 50-50 ki tarah work karta hai lekin aap iska aage
ka method bhi dekhiye usse bhi aapko idea milega.
|
3.) Single Tik Dekhiye Jab Aap Usko Message Bhejte Ho(Sucess
Rate 75%)
Is method me aap kya kariye ki ye insure karne ke liye usne
aapko block kiya hai yaa nhi ,usko simply ek message bhejiye aur ye to aap
jante hi honge ki jab hum kisi ko message send karte hai aur jab message
recieve ho jata hai to 2 tik bankar aate hai lekin agar aapko koi block maar
dega to jab aap usko message bhejenge to wo message send nhi hoga aur 2 tik ki
jagah aapko sirf 1 single tik hi milega.Agar aisa ho to aap samjh lena pakka ki
usne aapko block kar diya hai ,lekin iske bhi 75% chances hai ki usne aapko
block hi kiya ho ,ye bhi ho sakta hai ki uska net card khatm ho gaya ho aur
uske paas tak message pahuh hi nhi pa rahe ho to aise me bhi sirf 1 tik hi ban
kar aata hai.
4.) Dusre Phone Ka Istemal Karke Pata Lagaiye Ki Usne Aapko
Block Kiya Ya Nhi (Sucess Rate 90% )
Ye mere khayal se sabse achha tarika hai ,is tarike me aapko
kya karna hai ki kisi bhi apne ka phone lena hai jisme whatsapp chalta ho ,aur
uske phone me wahi contact no. save kar dena jis par aapko sak hai ki usne
aapko block kiya hai yaa nhi ,nas ab kya jo maine upar 3 method bataye hai same
wahi follow kariye ,agar us phone me bhi same baisa hi ho jaisa aapke phone me
ho raha tha jaise ki agar aap uska last seen apne phone me bhi nhi dekh par
rahe the aur is phone me bhi nhi,aur uski profile pic apne phone me bhi nhi
dekh pa rahe the aur is phone me bhi nhi aur last agar aap message send karte
hai aur 2 tik bankar apke e bhi nhi aa rahe the aur is phone me bhi nhi aa rahe
hai to ye to pakka ho jayega ki usne aapko block nhi kiya hai kyonki agar usne
aapko block kiya hota to apke friend ke mobile to koi janta bhi nhi hoga so bo
usko block kar nhi payega isiliye samjh jayiye apna dimag lagakar ki aapko
block nhi kiya gaya hai,aur haaa agar aapke friend ke mobile se aap uska last
seen,profile pic aur message bhi send ho ja rahe ho to ab ye pakka hai ki usne
aapko block kar diya hai ,yahi sabse achha tarika hai ye pata lagane ka kisi ne
aapko block kiya hua hai yaa nhi.
5.) Whatsapp Group Ka Use Karke Pata Lagaye Ki Kisi Ne Aapko
Block Kiya Hai Yaa Nhi (Sucess Rate 100%)
Ye trick 100% work karegi aur aap ekdam pakka bhi ho jayenge
ki kisi ne apko block kar diya hai ,is method me hum simple se ek group ka
pryog karenge ye janne ke liye wheather he blocked you or not.Simply kya kariye
apna whatsapp account open karna aur ek group create karna ,jab group ban jaye
to usme usi friend ke contact ko add karne ki kosis karna jis par aapko sak hai
ki usne aapko block kar diye hai.Agar usne aapko block nhi kiya hoga to aap
badi hi asani se usko apne newly created group me add kar loge ,aur agar usne
aapko block kar diya hoga to jab aap usko add karoge group me to aapko ye
message milega "You are not authorized to add this contact.” iska matlab
hota hai ki usne apko block kar diya hai isiliye aapke paas authority nhi hai
usko group me add karne ke liye .Ye sabse sandar method hai ye pata lagane ke
liye ki kisne aapko block kiya aur kisne nhi.
Esse Bhi Padhe:-
Esse Bhi Padhe:-
1.How to Enable Bitlocker in windows 10 2.How to create folder without Icon 3.How to take driver backup in Windows 4.How to download Youtube video Pc or Mobile without any software
Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi
bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta
,isiliye mere post ko share karke meri help kijiye taaki main aapke liye
ek se badhkar ek tricks la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi
shar buttons ka prayog kar sakte hai,aapke 1 minute kafi hai meri site ko
promote karne ke liye.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.
Like This Post? Please share!
Whats par kaun Aapko block kar diya hai kaise pata lagaye
Reviewed by Anand Yadav
on
March 22, 2018
Rating:
No comments: