Aaj kal kaun aisa hoga jo
google search engine ko nhi janta hoga,Aaj ke is post me hum apko google ki
best tricks batayenge jo aapne pehle kabhi nhi dekhi hongi aur na hi unhe
ajmaya hoga.Baise to google ne hum logo ko bahut kuchh provide kara rakha hai aur
aaye din kuchh na kuchh new technique par research karta rehta hai,but google
ki kuchh tricks aisi hai jo sirf technical logo ke liye banayi gyi hai jinhe
sirf wahi jan pate kyonki wo apne dimaag ka istemal had se jyada karne ki kosis
karte hai lekin ab bo tricks main aaj aapko sikhuanga jisse aapke google ko use
karne ka najariya hi change ho jayega,baise mujhe google ki sabse achhi trick
lagi uska gravity feature,dont worry main aage aapko bataunga .
To chaliye start
karte hai google ki kuchh hairat angej tricks jo aapko bahut pasand aane bali
hai agar aap thoda bhi technically sochte hai to otherwise fun to karenge hi
aap mera believe jariye.
#1. Google Zero Gravity Fall
#1. Google Zero Gravity Fall
Gravity
ka matlab to aap samjhte hi honge dosto ,simple language me bole to ulta
pulta.Is trick me kya hoga ki aap google.com ko jab open karenge to aapko
sab kuchh ulta seedha dikhega ,matlab kanhi par google ka logo hoga kanhi par
search likha hoga etc.Aapko bata du google par ye trick bahut pasand ki jati
hai.Is trick se insaan zero gravity ka aanand le sakta hai aur usko sari images
aisi lagengi jaise wo moon par pahuch gaya ho janha par zero gravity hoti hai.
Aur sabse achhi baat to hai ki aap khud iski sari images, logo ko idhar se udhar move kar sakte hai jaise hum koi cheej utha kar yanha se wanha rakh dete hai.
Agar aap is trick ko dekhna aur karna chahte hai to aap is link par jayiye aur zero gravity ka luft uthayiye.
#2. Google Gravity
Guitar
Guitar to lagbhag sabhi log use karna chahte
honge usko achhe se chalana seekhna chahte hai to aise me google ki ye trick
bahut faydemand hai.Khud maine bhi is trick ka use karke thoda bahut guitar
bajana seekh liya hai .Fir aap to mujhse jyada smart ho dear to aap bhi
seekhiye guitar bajana bahut maza aata hai yaar.Aur jo google ka guitar hai
uske sabhi feature bilkul original guitar ki tarah hi hai.Aur haa itna hi nhi
aap is par apni koi bhi dhun record bhi kar sakte ho aur usko baad me sun sakte
ho.Aur bhi bahut se aise feature hai to aap google ka guitar is link par jakar play
kar sakte hai .
#3. Google Gravity Underwater
Ye trick bilkul
google zero gravity ki tarah hai jo aapne pehli trick me dekhi thi bas is trick
me fark itna hai ki aapko wanha par white background milta tha lekin yanha par
aapko background me water milega ,aur itna hi nhi aapko background me fishes
aur alag alag tarah ke plants bhi dekhne ko milenge jo aapko bahut achhe
lagange dekhne me.Aap is trick ko is link par jakar
mehsoos kar sakte hai.
1.How to Enable Bitlocker in windows 10
2.How to create folder without Icon
4.How to download Youtube video Pc or
Mobile without any software
#4. Google Space
Ye
trick bhi bilkul google anti gravity or Google gravity fall ki tarah hai.Bas is
trick me jo bhi content hoga screen par wo sab float karta rahega.Aur itna hi
nhi jo kuchh aap search karenge uska result bhi float karta rahega screen par
,ye ehsas karayega ki aap space me ghoom rahe hai.Is link par
jakar ye trick dekh sakte hai
#5. Do A Barrel Roll In Google
#5. Do A Barrel Roll In Google
Is trick me kya hoga
ki Aap apne result ko 360-degree ka rotation de sakoge jo bahut hi intresting
lagta hai dekhne me.Aisa karne ke liye aapko sirf google search baar me sirf ‘do
a barrel roll’ likhkar search karna hai aur within a second aapko
apka result 360-degree rotate milega.Aap is linkpar bhi jakar is
trick ka anand utha sakte hai.
#6 Google Gravity Mirror
Ye ek bahut hi funny
trick hai jisme hum jo bhhi google par search karenge aur uske baad jo result
aayega wo hume aisa dikhega jaise hum usko mirror (seesha) me dekh rahe
ho.Aap isse neeche di gyi link par jakar dekh sakte hai.
Try Google Gravity Mirror
Try Google Gravity Mirror
#7 Google Super Mario Brother
Easter Egg Trick
I think sabhi log is game ko
to jarur hi jante honge aur apne childhood me isko khela bhi hoga ,ye game
actually bahut popular reh chuka hai aur isko lagbhag 30 years ho gaye hai
launch huye.Isiliye google uncle ne soch kyon na isko Google ki homescreen me
daal diya jaye to unhone iski trick nikal di jisse koi bhi google user is mario
game ko play kar sakta hai,isko khelne ke liye aap sirf google search bar me ‘Super
Mario Brother’ likhkar search karna.
iske baad ek result me brick aayegi jaise mario game me aati thi aur uske aage question mark bana hoga ,aap simply is brick par click kar dena .Kuchh log to ye bhi kehte hai 100 baar click karne se ek aawaj sunayi deti hai filahl maine to aisa check nhi kiya agar aapko time mile to jarur karna aur mujhe batana ki kya ye baat sahi hai.
Ab aapki bari hai dosto ab aap bataiye kaisi lagi aapko ye trick ,bhai mujhe to bahut achhi lagi ab aapko pata nhi lagi ho ya nhi .agar aapko ye trick achhi lagi ho to ise share karna na bhooliye ,aur apne aage ke post me main aapko facebook hacking ka ek aur new method bataunga jo lagbhag phishing jaisa hi hai but thoda diffrent hai to kal tak ke liye wait kijiye aapke liye bo post likhna start kar diya hai maine ,best of luck dosto ,lagatar kuchh na kuchh new sekhte rahiye aur enjoy karte rahiye .
Thank you......
iske baad ek result me brick aayegi jaise mario game me aati thi aur uske aage question mark bana hoga ,aap simply is brick par click kar dena .Kuchh log to ye bhi kehte hai 100 baar click karne se ek aawaj sunayi deti hai filahl maine to aisa check nhi kiya agar aapko time mile to jarur karna aur mujhe batana ki kya ye baat sahi hai.
Ab aapki bari hai dosto ab aap bataiye kaisi lagi aapko ye trick ,bhai mujhe to bahut achhi lagi ab aapko pata nhi lagi ho ya nhi .agar aapko ye trick achhi lagi ho to ise share karna na bhooliye ,aur apne aage ke post me main aapko facebook hacking ka ek aur new method bataunga jo lagbhag phishing jaisa hi hai but thoda diffrent hai to kal tak ke liye wait kijiye aapke liye bo post likhna start kar diya hai maine ,best of luck dosto ,lagatar kuchh na kuchh new sekhte rahiye aur enjoy karte rahiye .
Thank you......
Jinhe Dekhkar Hairan Ho Jayenge Aap Google Ki 6+ Shandaar Gravity Tricks
Reviewed by Anand Yadav
on
April 07, 2018
Rating:
No comments: